![]() |
| Pic Credit: Google Images |
Iss paar chalu, uss paar chalu, kiss paar chalu?
Matwali hu matwalon ke sath chalu|
Nadi kabhi, bandhi batao…
Phir mujhse kyu umeed lagao?
Kal-kal kerti beh jaungi, ek din apne sagar mein mil jaungi.
Matwali hu matwalon ke sang jaungi|
Dekha kabhi chakor ko tumne…
Ek jhalak chand ki pane ko matwala voh janmon se|
Tum hanste ho voh rota hai…
Tum kehte ho chand dur bahut hai, voh kehta ek jhalak bahut hai.
Mujh mein thodi si sudh-budh hai baki …
Par sach kehti hu, ek din, chakor main ho jaungi.
Tum mujh par hasna beperwah ho kar…
Main apne chand mein kho jaungi.
Matwali hu matwalon ke sang jaungi|
Pagal kaisa voh panchhi hai, Chatak jisko kehte hain…
Nadi-sagaron per udhta phir bhi pyasa mar jata hai.
Zidd kaisi ki pehli barish se pyaas bujhe…
Jab sare jal hain ek jaise?
Soojh-bhoojh ke mare ho tum…
Uss matwale ko kya samjho ge|
Voh mar kar pyaas bujhata hai…
Tum zinda ho kar bhi mar jate ho|
Uss zidd mein jeevan dikha hai mujhko…
Main toh Chatak sang ho lungi.
Tum kab samjhe the mujhko?
Jo ab ye na-samjhi mujhe satayegi.
Jab yaad karo bas keh dena…
Voh matwali thi matwalon sang chali gayi|

No comments:
Post a Comment