TU
SHIV MAIN SHAKTI!
Tu Shiv main Shakti,
Tu prem mera main teri bhakti|
Tu Rudra hai tu soumya bhi,
Tu mujh mein hai aur main tujh mein
bhi||
Chand sajja mathe aur Ganga bandhi kesh
mein,
Devon ka dev tu aur har pal tu Aum mein|
Main tuchh sahi, teri rachan ka chhota,
ek ansh sahi,
Par sach hai ki-tu mujhse door nahi|
Kyuki tu Shiv main Shakti,
Tu prem mera main teri bhakti||
Naag lapete, Kailash viraje, dhyan leen
tu,
Aur ek darshan hetu main vichilit hu|
Per sach hai ki naag ki hunkar mein,
kandon mein Kailash ke, aur dhyan mein
bhi main hu|
Kyuki tu Shiv main Shakti,
Tu prem mera main teri bhakti||
Vish roke kanth mein rakshak bhi tu krodh
tera aisa ki bhakshak bhi tu,
Prasann ho tu-toh veena baje Raudra ho
jo toh teesri ankh khule|
Damru lubhata hai, veena suhati hai,
Rudra tera prachand tandav darata hai,
Par sach hai ki vish bhi main, veena bhi
main, Damru bhi main aur tandav bhi main|
Kyuki tu Shiv main Shakti,
Tu prem mera main teri bhakti||
Sansar bhi tu moksh bhi tu, iss paar bhi
tu uss paar bhi tu,
Sheend ho gayi rah dekhte, samapt ker ye
pratiksha tu|
Aa jaa iss sansar mein ya le chal mujhe
anant ki oor,
Bas ab hath tham mera kin aa hoga mujhse
ab aur||
Kyuki tu Shiv main Shakti,
Tu prem mera main teri bhakti||