Tuesday, 14 June 2016



TU SHIV MAIN SHAKTI!

Tu Shiv main Shakti,
Tu prem mera main teri bhakti|
Tu Rudra hai tu soumya bhi,
Tu mujh mein hai aur main tujh mein bhi||

Chand sajja mathe aur Ganga bandhi kesh mein,
Devon ka dev tu aur har pal tu Aum mein|
Main tuchh sahi, teri rachan ka chhota, ek ansh sahi,
Par sach hai ki-tu mujhse door nahi|

Kyuki tu Shiv main Shakti,
Tu prem mera main teri bhakti||

Naag lapete, Kailash viraje, dhyan leen tu,
Aur ek darshan hetu main vichilit hu|
Per sach hai ki naag ki hunkar mein,
kandon mein Kailash ke, aur dhyan mein bhi main hu|

Kyuki tu Shiv main Shakti,
Tu prem mera main teri bhakti||

Vish roke kanth mein rakshak bhi tu krodh tera aisa ki bhakshak bhi tu,
Prasann ho tu-toh veena baje Raudra ho jo toh teesri ankh khule|
Damru lubhata hai, veena suhati hai, Rudra tera prachand tandav darata hai,
Par sach hai ki vish bhi main, veena bhi main, Damru bhi main aur tandav bhi main|

Kyuki tu Shiv main Shakti,
Tu prem mera main teri bhakti||

Sansar bhi tu moksh bhi tu, iss paar bhi tu uss paar bhi tu,
Sheend ho gayi rah dekhte, samapt ker ye pratiksha tu|
Aa jaa iss sansar mein ya le chal mujhe anant ki oor,
Bas ab hath tham mera kin aa hoga mujhse ab aur||

Kyuki tu Shiv main Shakti,
Tu prem mera main teri bhakti||


Friday, 22 April 2016

GHAR

Uss ghar ki subah abhi bhi yaad hai mujhe,
Verande se laga kamra aur uski badi si khidki,,
Har roz subah maa ki pukar se pehle…
Uss khidki se aati dhoop jagati thi mujhe!

Voh bada sa makaan, mera ghar tha,
Dus logon ka pariwar aur jaise ghar mei har roz ho koi tyohaar,,
Uss ghar ka har kamra khaas tha, kahin dadi-baba ki pukar…
Toh kahin taiji ki phatkar…
Toh kahin purane khilono ka aks tha!

Bada sa rasoi ghar aur vahan rakhe achar ke bade imartban…
yaad hain mujhe,
maa se chup ker aachar khana aur…
pakde jane per taiji ka bachana yaad hai mujhe!

Dadi baba ka kamra nanhe kisse-kahani yaad dilata hai mujhe,
Aur tauji ke kamre ka andhera, aaj bhi darta hai mujhe,,
Khane ke kamre mei maze kursi samjhati hu mei…
Lekin vahan rakhi aalu pyaaz ki tokari aaj bhi raaz hai mere liye!

Baithak mei dekha chandrakanta labon per muskurahat lata hai,
Lekin baba ki kahaniyon jaisa chu nahi pata hai!

Mera voh ghar ab kisi aur ka aashiyana hai,
Ab, na voh deeware meri hain aur na voh galiyare mere hain…

Per voh subah ab bhi meri hai aur voh yaadien aaj bhi taaza hai…
Aur uss ghar ka har kona aaj bhi saath hai mere!



Tuesday, 1 March 2016



AAHAT

Vo aahat tumhare aane ki,
Vo rim jhim si barish vo patton ka hilna,,
Uss sab mei mujhe ek saye ka dikhna,
Aur vo aahat tumhare aane ki,,


Vo aahat tumhare aane ki,
Vo badalon ka meri khidki se jhakna,,
Vo pal pal mera dervaje ko taakna,
Aur vo aahat tumhare aane ki,,


Vo aahat tumhare aane ki,
Vo baithe baithe mera un beete palon ko sametna,,
Bas roothe ho tum, laut aaoge tum, aisa is dil ka sochna,
Aur vo aahat tumhare aane ki,,


Vo aahat tumhare aane ki,
Vo intezaar kerte raat ka subah mei badal jana,,
Aur dervaje ke saath tumhari tasveer ka nazar aana,
Aur vo aahat tumhare aane ki,,


Vo aahat tumhare aane ki,
Aur tumhari aankhon mei sach ka dikhna,,
Vo sach ki jaa chuke ho tum itni door,
Ki abb aana hoga muhje hi uss orr,,

Aur vo aahat tumhare kabhi na ane ki!

Sunday, 24 January 2016

VOH AASMA!

Voh aasma koi aur tha jiski mujhe talash thi…
Oodun jahan pankh pasar…kshtij ke par!
Sapno per na koi lagam ho, swachand ho mann mera…
aur har roj ek naya savera!
Shaam dhale toh oodun chand ke par tak…
Aur angina tare ho rah guzar!

Voh asaam koi aur tha jiski mujhe talash thi…

Ye aasma unchaha sa lagta hai…
Sapno se pare, soch ke vipreet lagta hai!
Oodun kaise ye aasma paraya sa lagta hai…
Na swachand hai mann mera aur na kshtij dikhta hai!

Voh asaam koi aur tha jiski mujhe talash thi…

Kab subah aayi kab sham dhali, nahi jaan pati hu main…
Pankh bandhe hain aur ye aasma pinjre sa dikhta hai!
Ye aasma kabhi na manga tha par udaan se rishta purana tha…
Toh darr kaisa, chinta kahe ki…
Bas pasarungi pankh aur udh jaungi main…!

Ye aasma mera nahi toh kya…
Voh aasma zaroor paungi main…!



Thursday, 21 January 2016

BACHPAN

Phir aaj kuch purane bakse tatolne ko jee chahta hai,
Bachpan ko phir ek baar jeene ko jee chahta hai,,


Dhool mei lipte, kuch khilone hain abhi tak rakhe huye,
Unki dhool hata, phir ek baar sajane ko jee chahta hai,,


Yu to bachpan mei lautna hamesha hee jee chahta hai,
Par aaj apna bachpan kuch jayada hee yaad aata hai,,


Vo barish aur meethi dhup se bana ho indradhanush ya ho raat ke jugnu,
Jo bachpan mei lubhate the itna, unka ehsaas bhi hona hai ab mushkil,,


Har din ki daud bhaag mei, jhat se bada hone ki chah mei,
Vo bachpan mujhse phisal gaya aur sab kuch badal gaya ek baar mei,,


Uss bachpan ko koi mujhe lauta de kash,
Aur samay ka pahiya koi ulta chala de aaj,,


Phir aaj kuch purane bakse tatolne ko jee chahta hai,
Bachpan ko phir ek baar jeene ko jee chahta hai,,



Wednesday, 6 January 2016


KASHMKASH!

Ek dorahe per ye zindagi khadi si nazar aati hai,
Har rah guzar kuch anjaan si nazar aati hai,,
Jin rahon per aksar aana jaana tha,
Voh rahein ab gum naam nazar aati hain, 

Aur kuch ajeeb si vo kashmkash hai,
Jo ek kinare lagne nai deti hai,,

Har rishte ka aagaz hote humne dekha,
Aur phir usse majdhar mei har ek saans ke liye ladte dekha,,
Kuch ko humne ubherte dekha,
Kuch ko paar lagne ki chah mei manzil se bhatakte dekha,,

Aur kuch ajeeb si vo kashmkash dekhi,
Jo ek kinare lagne nai deti,,

Aise vaise, na jane kaise ek mamuli khwab dekha,
Subah ki oos, sham ki lalima ke sath use badhta dekha,,
Uss ek chah mein khud ko bikharte aur khud hi ko sametate dekha,
Dur nahi hai, dur nahi hai kehte kehte khud ko pahunchate dekha,,
Hath badaya... cheen liya, aur usse daman mein girte dekha,

Phir kuch ajeeb si vo kashmkash dekhi,
Jo ek kinare lagne nai deti,,

Iss choti si duniya mei, logon ki badti bheed dekhi,
Har chehra anjaan dekha, har chehra apne aap mei pareshaan dekha,,
Kuch ko iss duniya mei sab pate dekha,
Kuch ko ek pal mei sab gawante dekha,,
Kuch ko aate dekha, kuch ko jaate dekha, 

Aur kuch ajeeb si vo kashmkash dekhi,
Jo ek kinare lagne nai deti,,